Computer Ki Ram Kaise Badhaye Hard Disk Ki Madad Se

Pc-Ki-Ram-Kaise-Badhaye

Hello friends. Internet Ki Dunia ki new post me aapka sawagat hai. Is post me apko pc/laptop ki RAM badhana sikhauga taki aap bhi jaan sake ki kaise pc/laptop ki RAM badha sakte hai. Bahut se friends ke dimag me yahi chal raha hoga ki agar hdd se ram banti toh RAM khridene ki jarurat kyo padti hai, apke sabhi sawalo ke jawab ishi post me mil jayege. Friends ye toh aap khud jante hai ki hard disk, RAM se kitna guna jyada hoti hai. Kyoki hard disk me humara sara data save hota jo bhi hum apne pc me dalte hai jaise song, movie, document, software etc. Lekin RAM humare data ko hard disk se proess karke chlati hai. ye toh apko pta chal gya ki ram process karke chlati hai, kya aap yeh bhi jante hai, jab koi badi file ya software ko hum chlate hai toh humara computer slow ho jata hai kyuki humare pc ki ram kam pad jati hai or kbh-kbhi toh hang bhi ho jata hai. Iska solution yahi hai apki RAM ki kami hai. Ye toh saaf hai hai jitni jyada RAM utna kam hang hoga apka pc kyuki RAM ko pura space milega file ko process karne ke liye. or apke pc ke hang hone ki koi gunjaish ni hogi.

 

    SEARCHING RESULT    

1. How to increase RAM.
2. How to make RAM from hard disk.
3. Hard disk se ram kaise banaye.
4. Pc ki RAM kaise badhaye
5. How to increase computer/Laptop ram from hdd.

Waise toh aajkal lagbhag 4th genration ke pc/laptop rakhte hai lekin yeh jaruri toh nhi ki sab mehnge ya new genration pc/laptop khrid paye. Un dosto ke liye mera ye artical sayad madadgar sabit ho jaye. Jo hum RAM bnayege wo RAM primary memory me toh add nahi hogi lekin apki paging RAM jarur ban jayegi Us se kya hoga ki jab bhi hum koi program open karege or RAM ki kami hogi toh wo kami paging ram pura karegi. I think aap samjh gaye honge .

Paging RAM ka matlab hai program, file etc. ko kholne me use hone wali RAM. Is apke pc ki speed kafi had tak sudhar sakti hai. Is trick se apka pc i5 toh nahi ban payega lekin kuch sudhar jarur ho jayega speed me. Toh ready ho jayiye ye trick sikhne ke liye.

  NOTE   ” Me jitna btau utna hi karna hai or agar aap apni marji se kuch galat option open karke gadbad kroge toh meri koi jimewari ni hogi “

  STEP-1.  
Sabse pehle aap my computer me jaye.

  STEP-2.  
My computer me aane ke baad apko system properties par click karna hai.

  STEP-3.  
Ab apko left side kuch option dikhai denge usme apko advanced system setting par jana hai.

advanced system properties

  STEP-4.  
Advanced system setting par click karne ke baad popup window khulegi usme advanced par click kare or fir setting par click kare ( yaad rahe 3 seting dikhai degi usme sbse pehle wali seting par click kare jais image me dikhaya hai ).

advanced seting

  STEP-5.  
Ab apke samne Performance options khulege usme ap advanced par click kare, advanced par click karne ke baad apko 2 option dikhai denge program or background service usme apko program par hi click karna hai or last me change par click kare.

advanced system internet ki dunia

  STEP-6.  
Ab apke samne virtual memory ka option open hoga usme apko sabse pehle upar automatically manage ke upar tick hoga use hta de,uske baad jis device se ap RAM bnana chahte hai usko chune jaise C,D,E koi bhi chun sakte ho. Ab ap custom size par click kare or dono box me value put kare jitni ram banana chahte hai aap jaise 1GB = 1024, agar 2GB bnani hai toh 2048 ap apni marji se dal sakte ho jitne mb ki ram bnani hai, ram value put karne ke baad set par click kare or last me ok par click kare.

create ram options internet ki dunia

  STEP-7.  Ab apko restart karne ko kahega ap apne Pc ko restart kare.
Agar aap bhi slow pc se preshan hai toh ye trick jarur try kare. Aap mujhe comment kare bataye kaisi lagi ye trick. Is artical ko share jrur kare kyuki slow computer se preshan friends bhi is tricks ka upyog kar sake.

Thank you…

Share kare!
Parhlad Suthar
Parhlad Suthar

I am Parhlad Suthar and founder of onlylearns.com

9 Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

  1. Prahalad suthar bahut achhi Jankari share ki hai apne
    mai apko ek suggest dena chahunga aap bahut jaldi hi domain purchase kar le aap meri site ko visit karke dekhe

  2. thanks bro. waise abhi me busy chsl raha hu so blog chal ni pa ra. kuch din baad domin parchase kruga or ache ache artical post kruga… thans for solution…

  3. mera labtab lenovo g500 hai aur Abe window 10 dala hu but game so slow hota hai n Maine aye appka ram badanayka trick vhi kiya but any game its slow what I do sir

  4. Apke sistem ki ram kitne gb hai or aap kitne gb ka game chla rahe ho wo dipend karta hai speed pe or haan aaj kal sbhi game graphic wali hai or agar apke laptop me graphic ni hoga toh definitely slow hoga apka system…

  5. agar aap jyada heavy software or games chlana chahte hai toh kam se kam 4GB Ram or 500GB HDD hona bahut jaruri hai.

    • Brother aap badi ram dalwa lo, yeh method page ram ko badhati hai. Kayi baar humare computer me ram toh sagi hoti hai lekin loading jyada leta hai computer, Jaise kayi baar hum bada software chlate hai jo humare computer ko jyada loading karwata hai, uske liye yeh method kamyab hai