Mobile Me Facebook Auto Liker Kaise Use Kare

Facebook-Auto-Liker-Kaise-Use-Kare

Hello friends,  ye toh aap khud jante hai ki auto like, auto comment, Auto Liker kitne intresting or femous hai facebook par. Bahut se friends facebook par profile pic or status ke likes increase karna chahte hai lekin wo kar nahi pate or wo kya galti karte hai wo bhi ishi artical me btauga apko, Konsa liker use kare, kaise use kare or id hack hone ka koi risk hai ya ni toh aap ye artical pura read kare. Ye baat toh apse chupi ni hai ki facebook dunia ki no.1 social networking site hai. Facebook par apko har insan ka account mil jayega, Bank account chahe ho ya na ho lekin facebook account jarur hoga isme koi do raye nhi hai. Facebook pe like and comment system sbse popular hai yahi karan hai ki humare status ki value pta chlti hai humari pic kitni achi hai ya buri, har koi chahta hai ki uske likes sbse jyada ho, kya aap nhi chahte apke likes jyada ho. Friends sabse muskil tab hoti hai likes ki jab hum new friends bnate hai or humare likes sabse kam aate hai or hume bahut bad feel hota hai. Friends toh aap sad mat hoiye ye trick apke liye hi hai ap apne friends se jyada likes kar sakte hai 100%. Iska use mene khud karke dekha hai or ye 100% safe hai or 100% working hai.

Autoliker kya hai ?

Auto like ka matlab aap khud jante honge auto + like matlb apne aap like karne wala tool bhi keh sakte hai ya fir aise bolu ki likes badhane ka jadu, jo bhi ho.

Auto liker se id hack ho sakti hai ya nahi ?

Ye sawaal bahut se friends karte hai, ki kya humari facebook id hack ho sakti hai auto liker use karne se. Ye kaafi acha sawaal hai or hona bhi chahiye kyuki sabko apni fb id pyari hoti hai. Toh mera jawaab hai aap low quality ki site na use kare, aap popular or femous liker hi use kare jo spam free ho, baaki koi risk ni hai id hack hone ka, aap tanson mat le. Me apko jo site btauga aap uska use kar sakte hai tenson free ho kar.

Spam Liker kabhi use na kare :-

Ji han is baat pe aap jarur gor karna, Agar aap kbhi bhi auto liker site use kro toh uske bare me pta kro kahin wo spam liker toh nahi hai. Spam liker ka matlab hume nuksan pahunchane wali.  Spam liker se jyada kuch toh ni hota lekin, har jagah apni site ka link chod deti hai jaise group me, friends ki timeline pe, post me etc is se sabhi ko pta chal jata hai ki ye auto liker hai.  I think aap samjh gaye honge. 2-3 site apko me bta raha hu jo spam liker hai, swift liker, apple liker, zero liker, xyz liker or bhi bahut sari hai. Me apko suggest kruga machine liker ke liye.(Baaki me iske baare me bistar se btauga next post me.)

Ye like real hai ya fake :-

jee sir yeh like real hote hai, lekin ye like karne wale sirf indian user nahi hote balki pure world me kahin ke bhi ho sakte hai.

Toh ab baate bahut hui, ab apko autolikes use karna sikha deta hu. Ap auto like or auto comment done use kar sakte hai is method se.Toh me apko step by step bta raha hu koi bhi step miss na kare, agar fir bhi samajh na aaye toh aap comment karke puch sakte hai,

  STEP-1. 
Sabse pehle niche diye gye link se machine liker apps download kare or install kare.

Download  >>> Machine LIker

  STEP-2. 
Ab aap apna facebook account ko login kare kisi bhi browser me, Fir setting & privacy me jaye or fir privacy par click kare, who can see your future post ko public kar de.

  STEP-3. 
Ab aap follower par jaye, who can follow me ko

public kare or who can comment on your post ko public kare.

  STEP-4. 
Ab aap machine liker application open kare. jo apne download ki hai.

  STEP-5. 
Open karne ke baad log in with facebook par click kare.

  STEP-6. 
Ab aap apni id or password daal kar login kare machine liker me.

  STEP-7. 
Ab apko HTC sence apps ke sath sigin karne ko khega, aap ok par click karke permission de, apse 3 baar permission mangi jayegi agar apne pehle kbhi autoliker use nahi kiya toh.

  STEP-8. 
Ab apke samne sucess login dikhai dega aap display per click na kare process chalne de.

  STEP-9. 
Ab aap machine liker me enter ho jaoge, apko 2 option dikhai denge 1.Use Machine Liker. 2.Use commenter ( agar aap like badhana chahte hai toh aap machine liker use kare or agar aap comments badhana chahte hai toh aap use commenter kare.)

  STEP-10. 
Use machine Liker/Use commenter par click karne ke baad apke samne 3 option dikhai denge 1.Status 2.Photo 3.Custom (1.Status se app apne status pe like badha sakte hai, 2. photo option se aap profile picture,cover picture ya upload ki gyi picture ke like badha sakte hai. 3.Custom option se aap apni photo ya status ka link dalkar like badha sakte hai.)

  STEP-11. 
Teeno me se maine photo pe click kiya or photo pe click karne ke baad set Likes Limit par click karke aap maximum 100 likes kar sakte hai ek bar me, lekin ye jaruri nahi ki apko 100 hi mile 150 bhi mil sakte hai 200 bhi mil sakte hai.  Sabse last me aap submit par click kare, kuch der processing chlegi process puri hone ke baad aap likes check kar sakte hai, aapko sucessfully likes send kar diye gye hai.

  Special note:-  
Friends agar apko kahin bhi dikkat aa rahi hai toh aap comment karke puch sakte hai, AutoLiker use karte waqt dhyan rahe ki apko 15 minute ka gap dena hoga, agar aap 2-3 baar autoLiker use karna chahte hai toh…

Mostley searches…

Autoliker kya hai,
autolik kaise use kare,
auto like kaise kare,
Photo par like kaise badhaye,
Auto liker se photo par like kaise badhate hai,
Best auto liker apps,
mobile me auto liker kaise use kare,
android mobile ke liye best auto liker,
photo par like kaise badhaye,
how to use auto likes,
what is auto liker,
use auto like in android mobile,


Please Share & Enjoy Guys…

Share kare!
Parhlad Suthar
Parhlad Suthar

I am Parhlad Suthar and founder of onlylearns.com

46 Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

  1. Bhai mene kar liya hai or successfull ho gya hai agar kisi ko koi dikkat aa rhi hai to meri fb id 🔍 kar lo
    Smoker Sam ke nam se

    • ok jaldi hi kuch new trick post karunga, abhi kuch tool work nahi kar rahe kyunki facebook ne bahut sare update kar diye hai so.

    • Aap Boost option ka use karke like badha sakte hai, dhyaan rahe yeh free nahi hai. iske liye apko Paise Dena padega facebook ko

    • Maine apki website abhi check ki hai sahi khul rahi hai. Mujhe toh koi dikat nahi dikh aisi, agar apke samne error aa raha hai toh mujhe batayen

  2. Hello ji my mera auto liker ka copy kiya huaa password delete ho gya h aur mera
    Auto liker khul nahi raha h
    Plz help m

    • फेसबुक समय-समय पर बदलाव करता रहता है. इसलिए कई बार ऑटो लाइकर काम करना बंद कर देते है. हम जल्द ही इसका कोई हल निकालेंगे.