Why Extract Or Unzip Any Zipped File: Zipped File Ko Kholne Ya Install Karne Ki Jarurt Kyo Padti Hai ?
Ab ye sabse important question hai ki aakhir zip file ko extract karne ki jarurat hi kyo padti hai or kuch files ko zip file bana kar hi kyu dala jata hai iska bhi jawab dunga apko. File ko ziped type banane ke bahut se reasion ho sakte hai. Maan lijiye apke paas choti choti bahut sari files hai or aap unhe internet par upload karna chahte ho, un sabhi file ko ek ek karke dalege toh humara bhut time barbad hoga isliye ek hi file me sabko dalkar zip type file banai jati hai. Dusra sabse main karan yeh hai ki kuch files internet par direct upload karne par file currpat ho jati hai or iska jeeta jagta example .xml file hai jo hmesha zip folder me dalkar upload ki jati hai taki file currpat na ho isliye zip folder ko xml file ka surksha kavch banaya jata hai. Ab apko samajh aa gya hoga ki kyo banai jati hai zip file.
Zip File Kholne Ke Liye Mobile hi kyu Desktop kyu nahi ?
Yeh sawal har kisi ke dimag me aata hogo kyuki jab ye kaam pc/laptop se ho sakta hai toh mobile se kyo kare. Bahut sare aise blogger mil jayege jo sirf mobile ka hi use karte hai ya fir unke pass computer na hone ke karan muskil ka samna karna pdta hai or bahut sare kaam pc/laptop se hote hai jaise coding karna, template upload karna etc. agar apko thodi si jankari ho toh ye kaam ap mobile par bhi kar sakte hai. Toh ab baate bahaut hui ab hum sikhte hai zip file ko unzip karna toh aap active ho jaye.
How To Unzip Any Zip File ?
Sabse pehle aap google play store par jsye or winrar type kare. Ab apke samne RAR name ki apps ayegi use download kare or install kare. Aap direct link se bhi rar application download kar sakte hai
Download:- Download Application
STEP-2. Application install karne ke baad open kare or aap us zip file ya folder par tick kare jise aap unzip karna chahte hai.
STEP-3. Zip file par click karne ke baad aap path select kare Browse me jakar jaha apko file save karni hai or uske baad aap ok par click kar dijiye, Ab apki file unzip Hona start ho jayegi or 2-3 second me apki file unzip ho jayegi, ab aap apne folder me check kar sakte hai unzip hui file ko.
Thank you (;