Hello friends aaj hum window 10 me hone wale automatic updates ko disable ya turn off karna sikhege. Agar apne first time window 10 install kiya hai toh apke samne kuch problems aati hai, tab hume aisa lagta hai ki is se toh pichli window hi achi thi kyuki jab hum koi chij kafi time se use kar rahe hote hai toh wo hume comfortable feel hone lagti hai. Agar aap window 7 se sidhe window 10 install karege toh bhut se error ka samna karna pad sakta hai, lekin window 8.1 se bahut jyada better hai window 10.
Hume Window 7 or window 8 me control penal me hi window update turn off karne ka option mil jata hai lekin window 10 me ye option available nahi hai or puri tarah alag hai, window 10 me hume driver install nahi karne padte alag se.
Window 10 Me Auto Update Kaise Band Kare
Dosto yeh humara sabse jaruri sawal hota hai, window install karne ke baad hume naye naye updates milte hai jisme hume kuch new facilities milti hai lekin wo sabhi updates humare kaam ke nahi hote. Jab baat window 10 ki aati hai toh bhut sare log ise use karte hai. Sabse main baat yeh hai ki isme hume driver nahi khojne padte, jiske chalte hume jayad preshan nahi hona padta but wo hi driver apne aap download hone lagte hai main yahi kahuga apni jarurat ke hisab driver install karne ke baad hi updates band kare taki apka system properly working kare.
ji han dosto ye baat sach hai jab hum window 10 install karne ke baad jab hum internet chlate hai tab humara internet bahut slow chalta hai, aisa mere sath bhi hua jab maine first time window 10 install ki baad me mujhe iske baare me pata chala, Jiska Reason hai auto updates hote hai jo hume dikhai nahi dete jiske chalte humara data bhi khtam ho jata hai, lekin hun kuch bhi browsing nahi kar pate sari speed updates me chli jati ha.
1. Auto update turn off karne ke baad hume new updates nahi milege.
2. Apne aap koi bhi update download nahi hoga.
3. Is se apka data ki bachat hogi or apne data ka sahi se upyog kar sakege.
STEP# 1. Sabs pehle aap Services Search kare or open kare.
Note: is option ko aap dusre tarike se bhi naikal sakte hai, This pc icon par right click dabaye or manage par click kare or ab apko services and application ka option mil jayega.
STEP# 2. Ab apko isme Window Update dhundna hai or double click karna hai.
STEP# 3. Window update par Double click karne ke baad kuch options aayege apki samne image dekh sakte hai, sabse pehle aap Startup type pe disable par click kare or Apply or Ok kar dijiye.
Bas ho gya window 10 me auto update turn off, kitna easy hai hna, mujhe umeed hai apko samjh aaya hoga. Agar koi problem aati hai toh comment karke puch sakte hai
Thank you keep visiting….
thaq you sir