Computer Me Files And Folder Ko Completely Hide Kaise Kare

Har Kisi ke Computer mein Personal data hota Hein chahe wo business ka ho ya job ka. Hum nahi chahte ki humare data ko koi aur insaan dekhe ya ched khani kare. Hum humari important files ko locked karne ki bjaye Hidden karna jyada pasand karte Hein . So hum window computer mein Files and Folders Hidden karte hein. Agar apko nahi pata Window 7,8,10 me File or folders kaise Hide karte Hein toh yeh Post padhe.
Completely-Hide-File-or-Folder

Files And Folders Ki Properties Mein jakar File and folder hidden Karne se humari File hide toh ho jati Hein  lekin completely hide folder nahi hota. Apke dwara Hide kiye gya  Files And Folder Ko show hidden files and folders par tick karke dekha ja sakta Hein .

Window 7,8,10 Me Files And Folders Ko Completely Hide Kaise Kare.

Agar kisi insaan ko apke Computer mein Hidden folder Ki location pata Hein toh wo aasani se show hidden files Par click karke Hidden folders ki saari files dekh sakta Hein . Aaj mein apko window computer me folder completely hide karne ke baare me Details me btauga. Aaj Hum cmd commands ke jariye files and folders hide karege. Iske liye apko na hi kisi file hider download karne ki jarurat Hein or na hi kisi extra file hiding software download karne ki jarurat padegi. Command Prompt Commands se File hide Karne se invisible folder ya 100% secret folder ban jata Hein , Jo humare alawa koi aur nahi dekh sakta.

Files And Folder Ko Completely Hide Kyo Kare ?

Pehle iske baare mein thoda sa Discus Kar lete hai. Maan lijiye ek hi Computer bahut sare log istemaal karte hai, Chahe wo college ho ya company. Agar us system mein humari ko jaruri files hai toh hum ushe hide karna sahi samjhte hai. Agar aap normal method se files hode karoge toh log apki files tak aasani se pahunch sakte hai. isliye aaj mai jo apko tips batane wala hu wo apke bahut kaam aane wali hai.

How to Hide a folder using cmd ? Command Prompt commands Se File & Folder Permanent Kaise Chupaye ?

Sabhi steps bahut hi easy hai aur aap inhe carefully follow kare. Jab bhi aap yeh trick first time try kare tab kisi new folders bana kar try kare, Taki agr koi mistake ho jaye toh bhi apko koi nuksaan na ho. Jab aap ishe sahi se sikh jaye tab aap original Files & Folders  par apply kare.
   STEP 1:   Sabse pehle aap us folder ko open kare jisko aap Completely Hide karna chahte hai. uska Address copy kar le (Follow Screenhoot)
hide-folder-in-window-computer
   STEP 2:    Ab aap cmd open kare. Command prompt open karne ke 2 tarike hai. (i). Window key + R dabaye or enter kare, Ab jo option khulega usme cmd type kare or Enter Button Press kare. (ii). Aap apne Computer me direct Search kar sakte hai cmd.
how-to-hide-a-folder-using-cmd
  STEP 3:   Command Prompt open karne ke baad apko ek command type karni hai Attrib +s +h Folder loction (Folder loction me apko folder ki loction Paste karni hai jo STEP 1 me copy ki thi. Sab kuch type karne ke baad Enter kare. itna sab karte hi apko folder Gayab ho kayega. Darne ki koi baat nahi aap us folders ko wapis bhi la sakte hai. Attrib +s +h or folder ki loctaion copy karke cmd me aaye or right click karke Paste karke or Enter Press Kare

Attrib command Se Files & Folders  Kaise Unhide kare ? Attrib command to unhide folder and subfolders.

Completely Hidden Kiye gya Folder ko unhide karna bhi bahut hi aasan hai. iske liye aap niche diye gye step ko follow kare.
   STEP 1:    Sabse pehle aap apko cmd open karna hai.
   STEP 2:    Uske baad apko yeh command type karni hai, Attrib -s -h Folder loction jaha plus ka symbol use kiya tha waha -(minus) use karna hai or Enter Button Press karna hai. Ek baat yaad rakhe Folder ki location apko yaad rakhni hai ya fir kahin Notepad File par save karke rakh le, Kyuki folders ki location ka main Role hai isme.
attrib-command-to-unhide-folder-and-subfolders
 
Calculation:-
i hope you, Aaj apne Command Prompt Commands ke jariye Folders Completely Hide karne ke baare me bissar se jaana hoga. Agar apko koi bhi step samjh nahi aaya toh comments karke apna sawaal Puche. Hume khushi hogi agar aap comments karege toh.

Share kare!
Parhlad Suthar
Parhlad Suthar

I am Parhlad Suthar and founder of onlylearns.com

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *