Kya aap bhi jan na chahte hai bina app locker ke file,folder,music,video,document kaise hide karte hai smartphone/android phone me. Waise toh apko bahut sari application mil jayegi lekin yaha me apko bina app locker ke. Aaj me apko kafi popular or useful trick share kar raha hu apke sath. Is trick ko jan ne ke baad sayad aap file hide karne ke liye ishi trick ko use karna pasand krenge. Is artical ka target How to hide file/folder/music/video/document without any app locker. matalb simple si baat hai file folder kaise hide kare bina apps ya software ke. Me bhi is trick ka use karta hu smartphone me folder,file hide karne ke liye toh kyu na aap bhi is trick ka fayda uthaye. Mujhe umeed hai ki yeh artical apke liye bahut jyada helpfull rehne wala hai.
Android mobile me music,video,document,file,folder kaise hide kare ya chupaye bina kisi app locker
Jaisa ki aap jante hai android mobile ka aaj ke jamane me kitna jyada craze hai ye aap mujhse behtar jante hai, bache se lekar buddhe tak aajkal smartphone/android mobile use karte hai. Or sabse achi baat ye hai ki android mobile me chalne wali application aapko bahut jyada matra me mil jayegi jis se humara kaam or asaan ho jata hai. Smartphone aane ke baad computer ka kaam toh naam matar hi reh gya hai. Hum sabhi document or persnal chije apne mobile me hi rakhna pasand karte hai lekin humare liye ye sabse chinta ka sawal ban jata hai ki kya humara data safe hai. Aajkal xender or share it ke aane ke baad file ko ek minute me ek smartphone se dushre smartphone me share kar sakte hai wo bhi super fast speed me. Is se humari file or video ek second me viral ho jati hai, wo kaise ki jab humse apn asmartphone mangta hai chahe wo humara dost ho ya koi or, toh hum use manaa nahi kar pate, kyuki aajkal yahi hota hai ki har koi dost kehta hai tera smartphone de music share karne hai xender se or usme humare v kuch important videoes,file hote hai, wo bhi share ho jate hai. Yahi humare liye sbse badi problem hai, kyuki xender me sab kuch show hota hai jo humare phone me hota hai. Is problem ka solution aaj me apko bta raha hu toh aap pura artical read kare. Jo step btauga sayad apko mobile me alag se dikhai de lekin honge jarur bas ye apko pta karna hai kyuki sabse paas alag alag smartphone hote hai or un smartphoe me thodi bahut changing hoti hai. Yeh nahi ho sakta ki jo feature me btauga wo mere phone me ho or apke phone me nahi, bus apko pta karna hai kaha hai wo option.
Kyo kare file,folder,music and video hide….
Is trick ko use karne ke baad apke phone ka data safe rahega kyuki apke alawa kisi ko pta nahi chlega ki data kaha pda hai. Agar hum apna Data open rakhege toh photoes or video galary ya mx player me direct show ho jate hai. Ab apki problem khatam hone wali hai toh hai na powerfull trick. Waise toh me detail me btane ki kosish karta hu lekin fir bhi kuch samajh me naa aaye toh aap puch sakte hai comment karke.
STEP-1.
Sabse pehle aap us file ko select kare jise aap hide karna chahte hai, jaise me mx player se video hide karna chahta hu, toh mx player me jauga or us video ki dtail dekhuga ki wo video mere file manager me kaha pdi hai, select video or detail per click kare, apko video ki location pta chal jayegi (image follow kare)
STEP-2.
File manager me jane ke baad us video ka rename kare kare or sabse pehle dot ya point lga kar save kar de, baki kuch ni badlna apko.
STEP-3.
Ab aap mx player me wapis jayege toh dekhege ki wo video gayab hai, toh darne ki koi baat nahi hai wo sirf gayab hui hai.
STEP-4.
Ab wapis kaise laye video ko toh aap us folder me dobara jaye or more ko option hoga uspe click karke aap show hidden file pe click kare, agar yeh option apke phone me nahi hai toh aap setting me jaye waha show hidden file ka option mil jayega us par tick karke save karde apko file fir se show hone lgegi. Or hide rakhna chate hai toh show hidden file se tick hata de.
STEP-5.
Agar aap chahte hai ki wo video normal video ki tarah sabko dikhe toh aap rename karke dot ya point hata de.
Maine apko puri detail me btane ki koshish ki hai agar fir bhi koi step miss hua hai toh aap puch sakte hai, mujhe bahut khushi hogi. Agar apko ye artical pasand aaya toh share karna na bhule.
Bro. ब्लाॅग संक्षिप्त मे लिखा करें … बात कम शब्दो मे ओर समझ मे आये वो तरीका अख्तियार करे …