Windows Firewall Kya Hai ?
Sabse pehle apko yeh jan na bahut Zaroori hai ki Windows Firewall kya hota hai ? iska kya kaam hai ? kya jarurat hai iski humare computer mein, Aur kyo jaruri hai yeh feature har kisi system ke liye. Agar apko iske baare mein bistaar se btaunga toh pura article bhi chota reh jayega, So mein yaha apko iske baare me short me btane ki kosis karuga. Window computer mein apko ek feature dekhne ko milta hai jiska naam hai Firewall ka jisko bahut kam log jante hai. Simple language me btau toh yeh humen apne pc par control rakhne ki aazadi deta hai.
Jaise kisi Room ki charo tarf diwar yani ki wall nikal kar kisi chij ko ander aane ki permission leni padti hai, Same wahi chij hai yeh bhi jab tak hum Firewall ke jariye Permission nahi dete kisi program ko tab tak koi bhi software sidha attack nahi kar sakta humare pc par. Firewall Rules ke according humse permission mangta hai. Konse software ko kya permission deni hai or konse software ki permission ko block karna. Jisse humen humare Personal Computer par pura control mil jata hai. Lekin bahut sare log isko ignore kar dete hai.
Kya-Kya Advantage Hai Program Ka internet Connection Block Karne Ka.
Software/Program Ka internet Connection Disable Kaise Kare.
STEP 2: Ab apko Advanced Settings Par click karna hai.
STEP 3: Ab apko 2 option milege Inbound Ruls aur Outbound Rules isme inbound Rules or outbound Rules dono me check kare jis software ka Connection Disable karna chahte hai us software ko dhunde.
STEP 4: Jyadtar Software inbound Rules me hi mil jayega jaise me Camtasia Studio ko Block kar raha hun, Sabse pehle soft par double Click kare fir Block the connection fir apply then ok. Bas ho gya kaam finish.
Agar apko koi software inbound or outbound Rules mein na mile tab istemaal kare yeh method
STEP 1: inbound Rules Par click karne ke baad New Rule Par click kare. Fir Program par tick kare then Next Kare.
STEP 2: Ab this program path select kare, Fir jis bhi software Ka internet Connection block karna chahte hai usko browse kare or select kare. Or Next kare (Program ki path jaha apne software ko install kiya hai, normly C Drive me Program Folder mein mil jate hai, Agar apne kahin aur jagh Software install nahi kiya toh.)
STEP 3: Block the connection Par tick kare or Next Kare.
STEP 4: Ab apke samne Domain, Private, Public ka option milega use aise hi tick rehne de teeno par or Next kare.
STEP 5: Isme apko naam dalna hai kuch bhi daal sakte hai or agar description dalna chahe toh daal sakte hai nahi toh khali chod dijiye or last me Finish kare. Bas ho Gya Sara Kaam.