Aaj ke Jamane me technology Itni Teji se badh rahi hai ki jab bhi Hamare Samne koi problem Aati Hai to hum uska solution Google par search kar ke Asani se Dhoond lete hai. Jaise Jaise Technology badh rahi hai Waise waise sabkuch online Hota ja raha hai aur Sabhi log apni Pehchan online yani ki Internet par banane Lage Hain. Taki log unko Internet par Jane.
Agar aapne kisi dost ya relative ki photo Google Par Dekhi Hogi tab aapne Bhi jarur Socha Hoga Ki Google par apni photo kaise upload kare. Aaj main aapko Google par photo upload karne ke baare mein Puri Jankari dunga Taki aap bhi Google par apni photo upload kar Paye. Google Par image upload karne se pahle Hame Uske baare me kuch basic Jankari Hona bahut jaroori hai.
Aakhir Internet ya Google par photo upload Kaise hoti hai ?
Jab Tak hame yeh nahi pata Hoga Ki Google par image Kaise upload hoti hai tab tak Hum Google par apni image nahi dikha Sakte. Toh mera jawab hai Google par aap photo upload nahi kar sakte. Wo kyu ??? Dosto Google ek search engine hai jo khud dusro ki website or blog ko search me dikhata hai jo log photo upload karte hai unko hi search Engine me dikhta hai google. Ab aapke Samajh Mein Aa Gaya Hoga Ki Aap ki aap special Google par photo upload nahi kar sakte. Google par image upload karne ke liye Kisi Na Kisi website ya blog Par photo upload karni hogi.
Google par Photo Upload Karne Ka Tarika
Agar aap Google par yani ki Internet par photo upload karna chahte hain to aap Blog or website ke dwara Google Par photo dikha sakte hain. Yeh zaroori Nahi Ki aap ki Khud ki website agar aap social media use karte hai Jaise Facebook, Twitter, Google Plus aur Instagram aap social media ki madat se Google par photo upload kar Payenge. bas aap ko photo upload karne ka Sahi Tarika Pata hona chahiye Jo main aap ko de raha hoon Agar yeh tips apnayenge toh main 100% sure hun ki apki phot o google Search me aayegi.
Google Par image/picture Dalne ka Sahi tarika
Ab hume sikhna hai image ko sahi dhang se uplaod Karne Ka Tarika. Iske liye aapko 2 step follow karne padenge. Me apko suggest karuga agar aap jyada better result dekhna chahte ho toh google plus ya picasa ka use kare. Google plus par share ki gyi image jaldi index hoti hai google me. Kyuki yeh google ke hi product hai. Step #1
Jab Bhi aap Social Media Par photo upload Karte Hain Hamesha se public share kare, Tabhi aap ki photo ko Google index kar payega. Facebook par by default option friend select Hota Hai, usko change karke aap send to friends to public select karna hai. Sabse Pehla step aapko yeh follow karna hai. Step #2
Is step ko follow karna bahut zaroori hai, agar aap yeah step follow nahi karte hain Shayad Google kabhi nahi bata payega ki yeah photo kis insaan ki hai. apko photo photo click karte hi sidhi upload nahi karni uska rename karna hai. mobile se khinchi gyi pic ka naam kuch is prakaar hota hai 20160612_103528.jpg kya isko google padh payega ye kis insaan kaa naam hai, kaise pata lgyaega google kiski photo hai yeah. Sabse badi galti yahi karte hai log. apko aisi galti nahi karni isko rename karna hai jaise me meri picture ka rename karuga mera naam Parhlad suthar hai toh me Parhlad-suthar lgauga kyuki mene 2 naam use kiye toh bich me dash use kiya hai or dash dene se google ko aasani se pata lag jata hai ki yeh alag alag naam hai, is prakar aap jis bhi insaan ki image uplaod kare usko rename kare or rename me us insaan ka naam likhe. jyada samjhne ke liye Screenshot dekhe.
Google Par image upload karne ka advanced Trika
Hello Dosto agar aap ek photographer hain ya phir aapko photo khinchne ka shonk hai or aap harroj image logo se share karna chahte hai toh main apko salah dung aap ek blog banaye or uspar apni picture upload kare, logo ko apki sabhi picture ek hi jagh mil jayegi or google search me bhi aayegi kyuki blog par photo upload karke usko Search Engine Optimize bana sakte hai, taki jyada se jyada searching me sake or blog se picture upload karne par lagbhag ek month baad picture google par show hone lagegi agar aap ache se image ko optimize kroge toh.
Agar apka is post se related koi bhi sawal sujhav ho toh aap mujh comment karke puch sakte hai mai apke sawal ka reply jald se jald karuga
Thanks a lot… Aapke wajah se mera bhi Photo Google par aa raha hai
Thanks,aapka yeh tarika bahut accha