Aaj ka touchscreen mobile ka jyada Chal Chalan ho gaya hai, Agar Hamare Paas laptop ho toh Bhi Hum iska upyog Jyada nahi karte. Ab aap normal laptop ko touch screen me Badal sakte hain. Agar laptop touchscreen hoga Toh chalane Mein Bhi Jyada maza aayega. Aur dusri Baat agar aap touch screen laptop khridege toh aapko Jyada paise kharch karne padenge. Ab aap Apne purane laptop ko hi touch screen baana Kar usko istemal kar Payenge.
Laptop Ko touch screen kaise banaye ?
Kuch Samay Pehle aapne bhi sayad news dekhi hogi Suna hoga Ki aap apne Non-touchscreen laptop ko touch screen main convert kar Payenge. Company ne yeh kaam kar Dikhaya hai. Laptop ko banane ke liye Aisa device Banaya Gaya Hai Jiske ander se laser light Nikalti Hai. Is device ko AirBar ka naam Diya gaya hai.
AirBar kya hai ?
Airbar Ek Aisa device Hai jis ki help Se Hum Apne normal laptop ko touch screen bana sakte hain. Airbar behad hi light weight or patla hai. Airbar laser light ki Kiran Nikalti Hai Jo Hamare laptop ki screen ko cover karti hai Jise Hamara laptop touchscreen ban jata hai.
AirBar ko kaise use kare ?
Airbar ko istemal karna bahut hi Aasaan hai. Isko use karne ke liye Koi bhi driver install nahi karna padta aur Nahi Kisi software ki jarurat padti hai or na hi apko kisi technical knowledge Ki jarurat padti hai. Airbar bhi laptop ki screen Size ke anusaar alag alag Hote Hain. Airbar ka maximum size 15.6 inch hai. Jaisa aapke laptop ki screen ka size hai ushi ke anusaar aap Airbar khride. Airbar ko screen ke bottom yani ki niche wali side me lgaye jaisa aap Photo me dekh sakte hai. Airbar ko lagaane ke liye 2 magnet diye gye hai, magnet ki sahayta se aap ko jarurat ke anusar laga aur hata sakte ho.
Kaise Khride Airbar ko ?
Yeah Abhi online store Amazon Par
available hai. Aur iska price lagbhag 5300 se 5500/- rupay hai. Agar aap se mangwana Chahte Hain sakte hain
Amazon aur
air bar official site Par ise order kar sakte hain. Agar aap ise Amazon site se mangwate Hain toh yeh USA se import hoga aur deliver hone mein 1 month ka samay lag sakta hai. Aap Yahan se order kar sakte hai.
Click Here…
Aap mujhe comment Karke Jarur Bataye aapko ya Jankari kaise lagi. Kya aap Airbar ko khridna Pasand Karenge aap Apna opinion comment Mein de sakte hain.
Nice post