Laptop Me USB Port Disable/Enable Kaise Kare

Hello Friends. Pichli post me humne sikha tha ki kaise hum win-rar  software ki madad se password protected folder bana sakte hai or apna data safe rakh sakte hai. But is artical me hum Laptop me USB port disable ya turn of karna sikhege or iske liye kisi software ki bhi jaraurt nahi padegi. Waise toh aaj ke jamane me technology bahut aage tak ja chuki hai. Lekin hum aage tabhi ja payege jab hum choti se choti or badi se badi tips and tricks sikh sakege or ye tips sikhna bahut hi important hai aaj ke yug me. Or Bahut se friends yeh soch rahe hai ki USB port disable kyu kare or iska kya profit hai. Toh un dosto ko bta du ki yeh artical sirf aapke liye hi hai or apke sabhi sawaalo ka jawaab ishi artical me mil jayega.

  SEARCHING RESULT  

1. How to disable /enable usb port in laptop.
2. How to disable usb port.
3. USB Port disable kaise kare.
4. How to lock or unlock usb port.
5. USB port band or chalu kaise kare.

Why disable USB port in Laptop laptop me usb port kyu lock kare

Yeh question apke mind me jarur aaya hoga ki kyo disable kare USB port. Is question ka answare sayad apko niche diye gaye 3 hint me mil jaye. Toh niche diye gaye reason padh lijiye sayad yahi apka answare ho.

REASON-1. Agar apke ghar me laptop hai or apse koi laptop mang le chahe wo apka dost ho ya fir cousion, apko yahi dar rehta hai ki apke laptop se koi data na nikale toh apke liye best option yahi hai kyuki is trick ka har kisi ko pta nahi hai.

REASON-2. Agar apki mobile ki shop hai ya fir aap sd card load kate hai, agar aap 5-10 minute ke liye bahar gye or piche se koi apki shop me aaya or laptop se apka data churane ki koshish na kare toh ap USB port disable kare taki USB ya sd card attach hi na ho sake.

REASON-3. Agar apka computer center hai or ap apne center me laptop use karte hai or aap yahi chahte hai ki koi bhi student apke lab me kisi bhi Laptop se USB ya data cable na attach kar paye toh apke liye yahi hai aasan tarika hai USB port disabled karne ka taki apki gair mojudgi me bhi koi data le na sake.

Yeh the kuch aasan se hint aise bahut se karan ho sakte hai. I think aap samjh gaye honge ki kyu kare USB port disable. Kyunki koi bhi humare laptop se data aadan-pardaan na kar paye.

  IMPORTANT NOTE   -Ye trick sirf Laptop users ke liye hai kyunki Laptop me usb port band hone ke baabjud bhi laptop chlega kyuki laptop me touchpad or keyboard hota hai. Computer me aaj kal keyboard or mouse dono USB port wale hi aate hai, jis se aap usb port band kar doge toh apka pc ni chal payega kyuki mouse or keyboard dono jarauri hai pc chlane ke liye. So yeh trick sirf aap laptop me hi use kare.

Toh ab bate bahut hui ab USB port disable karna sikh lete hai. Step by step apko bat raha hu, ap koi bhi step miss na kare or agar fir bhi koi apko problem aati hai toh aap mujhse puch sakte hai.

  STEP-1.  Sabse pehle aap Run par jaye ya shortcur key Window + R dabaye or usme Regedit type kare  or enter dabaye.

  STEP-2.  Apke laptop me Registry editer ki popup window khul jayegi usme aap HKEY_LOCAL_MACHINE » System » Current Control Set » Service »  USBTOR. sabse pehle aap HKEY_LOCAL_MACHINE par click kare, uske baad aap System par click kare, iske baad Current Control Set par click kare, iske baad Service par click kare or USBTOR dhunde.

  STEP-3.  Service par click karne ke baad apko bhut sare option dikhai denge unme se apko USBTOR dhund kar click kare or fir  , jaise image me dikhaya gya hai.

  STEP-4.  Start par click karne ke bad apke samne popup window khulegi, usme apko value put karni hai jaha 3 hai waha 4 type kare or ok par click kare, bas ho gya usb port disable, ab aap check kar sakte hai usb lga kar.

value put on usbtor option

  NOTE   Agar aap fir se USB port enable karna chahte hai toh wapis wahi process karni hai or jaha apne 4 type kiya hai waha fir se 3 type karke save kare, apka usb port enable ho jayega.

Agar apko koi problem aati hai toh aap comment karke puch sakte hai or agar artical acha lga toh share karna na bhule.

searching by people…

Usb port kya hai,
Usb prt band kaise kare,
Laptop me usb port lock kaise kare,
Pc ya computer me use port off kaise kare,
Usb port ko band ya chalu kaise kare,
USB Port ko disable ya enable kaise kare,
Usb port turn on or turn off kare

Thank you :-

Share kare!
Parhlad Suthar
Parhlad Suthar

I am Parhlad Suthar and founder of onlylearns.com

12 Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

  1. ek kaam karo aap external port use karlo na, fir apko dikkat ni aayegi, old laptop me bahut sare laptop me single port hai bhai

  2. sir mere laptop me usb Kam nahi karta hi usb cable use Karne pe mobile charger hota hi bat phone Ka me or Kuch nahi Dekh pata hoo dell wali bolti hi software issues hi kare help me my what’s app no 9662038141

    • इसके कई कारण हो सकते है भाई, हो सकता है ड्राईवर ना हो आपके लैपटॉप में, usb पोर्ट भी खराब हो सकता है. आपसे मई जल्द ही Whatsapp पर संपर्क करूँगा.

  3. Hello sir mere laptop me do USB port Kam nahi Kar Raha h ek hi Kam Kar Raha h main ese thik kase karo sir

    • Agar aapne laptop ki setting change ki hai tab toh sahi ho jaayega. Agar aapne koi setting change nahi ki tab aap laptop ko repair center par dikhao dear.